Search This Blog

Friday, November 4, 2011

DuuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN



Haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

TohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN


Zindagii shaayed isii kaa naam hai
DuuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN

Kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat
KarvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN

Kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
AahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN

Aik paikar meN simaT kar rah gayiiN
KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN

ZaKhm dil ke phir hare karne lagiiN
BadliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN

“zAiDi” paida kar samandar kii tarah
Vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN

Kahin ISHQ ki dekhi Ibteda,



Kahin ISHQ ki dekhi Ibteda,




Kahin ISHQ ki dekhi Inteha,



Kahin ISHQ Dhaar pe Charh gaya,



Kahin ISHQ ka Nezay pe Sarr gaya,



Kahin ISHQ Sajday men Gir gaya,



Kahin ISHQ Sajday se Phir gaya,



Kahin ISHQ Dars-e-Wafa bana,



Kahin ISHQ Husn-e-Ada bana,



Kahin ISHQ Tu he Tu hua,



Kahin ISHQ ALLAH Hoo hua,



Kahin ISHQ Jan pe hua Fida,



Kahin ISHQ Dil men Sama gaya.